Tuesday, April 26, 2011

Wo Maa


Raaste pe chalte hue kabhi kisi insaan ko dekh ke kai khayal dil mein aate hain. Kabhi hum kisi ki khushi dekh ke uski khushkismeti ke baare mein sochte hain, to kabhi kisi ki laachari se dil paseej jaata hai.
Aisa hi ek waakya humare saath hua aur likhi ye shayari......Wo Maa

 

"Kuchh gande, thode fate kapdon mein, adhdhaka badan liye hue wo maa, 
Kuchh is tarah bujhe chhulhe mein sisakte angaaorn ko dekhti hai,
Ke apne aap hi kuchh ho jaaye, koi hawa chale, ke usmein aag jal uthe,
Aur khali pade pyaase bhagone mein, khud-ba-khud kuchh chawal aake pak jaayein.
Ghabraata hai uska dil, ke ye kaali raat kahin koi aahat na kare,
Ke dur dheeme jhul rahe paalne mein se, kahin kilkaariyaan na uthne lage,
Chhaati se mamta ki har ek mumkin boond pila ke jise, abhi to usne sulaaya hai.
Tuti khaprel mein se jhaankte aasmaan se bhi, uski yahi khwahish hai,
Ke is baar saawan aaye aur baarish bhi ho, par uski chhat ke upar baadal na chhayein.
Bas yun hi kankhiyon se karwaton tak uski har raat simat jaati hai,
Par uski zindagi mein jo subah laaye, aisi subah na kabhi aati hai.
Har subah phir bhagna hai use, sar pe mitti se bhara tasla uthaye,
Din ki pagdgandiyon pe, bina ruke, bina thake, bina ladkhadaye.
Us banti hui imaarat mein wo, har roz apne khwabon ki shaql dekhti hai,
Aur dikhte hain use wo chand kaagaz ke tukde, jo uske bachche ki bhookh mita sakein.
Aakhir kyun uske ghaawon ki kismet mein, bina dawa ke sookhna likha hai,
Aur kyun uske pairon ke chhalon ko bhi, pal bhar na kabhi sukun mila hai.
Kyun uske haath ki laqeeron ne, uski rookhi hatheliyon ka saath chodh diya hai.,
Aur har muskuraate raaste ne bhi, uske ghar ki galiyon se apna munh mod liya hai.
Kyun ye saza muqammal hui hai use, ya garib hoke hi wo bani gunaahgaar hai,
Agar nahin, to hai khuda kahin to bataye zara, ke kaun uski is haalat ka zimmedaar hai……"