Tuesday, January 4, 2011

Wo Khoobsurat Bachpan

Har kisi ke bachpan mein kai aise wakye hote hain jo patthar bante hain uski aage ki zindagi ki imaarat mein. Puraani yaadon ko yaad karke safar tay hota hai aur tab wo kadam rakhta hai apni zindagi ke aage ke raaston pe. Jitna ahem hai aaj ke saath muskurana utna hi zaruri hai puraane kisson ko yaad rakhna. Isi khayal ke saath humne yaad kiya wo haseen purana waqt aur likha.......Wo Khoobsurat Bachpan

"Wo din jab humare haath chhat tak nahin pahunchte the,
Tab bhi tamanna hum aasmaan chhune ki rakhte the.
Wo shaamein jab hum ungali pakad ke raaste tay kiya karte the,
Us waqt bhi humari nazar manzilon pe hua karti thi.
Rangon ko dekh jab armaanon ke saath hum bhi hawa mein uchhlate the,
Na us waqt bhi zara bhi feeka humara koi khayal tha.
Har chhoti baat pe jab hum ladte the behad gussa hoke,
Tab bhi na jhutha humare khoon mein aaya wo ubaal tha.
Kad badal gaya, umra badh gayi, soch jawan ho chali,
Par fitrat humari na humse kabhi, zarre bhar bhi juda hui.
Gaal ka har rom kuchh sakht to zarur hua hai,
Par dil se wo bachpan ki masoomiyat na kabhi gumshuda hui.
Kuchh nishaan naye hain, kuchh laqeerein bhi taazi hain,
Par aaj bhi chehre pe wahi purani muskurahat baaki hai.
Us bachpan ki har yaad ki gawaah ye aankhein har pal yahi bolti hain,
 Aur saalon se dhadhakte is dil ka bhi shayad yahi hai kahna,
Ke jis kadar khoobsurati se bachpan ne is jawani ko sanwara hai,
Usi fiqr-o-khayal se taumra us bachpan ko zahen mein sambhal ke rakhna…."