Wednesday, March 16, 2011

Aakhiri Darkhwasht

Tanhaayi ke roshandaan se ye dil har shaam un hazaron laakhon logon ke huzum ko is ummeed se dekhta rahta hai, ke koi aisa jo uska humsafar bane, usi bheed mein kahin chhupa hai. Na koi pehchan pata hai use uski, na uski shaql ka koi ghumaan hai, par bas khuda pe bharosa hai use ke wo hai aur usi bheed mein kahin hai.
Ek aise hi chehre ko talashti dhadhkanon ki shayari......Aakhiri Darkhwasht

"Kho raha hun logon ke hujum mein kabhi,
To kabhi apni pehchan se na-waakif ho raha.
Har pal main kabhi tere pichhe bhag raha,
To kabhi lagta hai ke tere khayalon mein hi ghum ho raha.
Mushkil dhundh paana hai, guzarta waqt ye kahta hai,
Harsun faile dhuen mein tum hi mujhe pehchano zara.
Mushkil  ujaalon ki chamak se meri aankhein bebas hain,
Dekh lo band aankhon se mujhe, tum hi meri baat maano zara.
Har pal koshish hai ke ek baar jo milun to ek pal bhi na tujhse juda ho paun,
Aur aakhiri dakhwasht hai bas meri ye,
Ke bhale kho jaun, par khuda kare, usse pehle tera khuda ho jaun……"

No comments:

Post a Comment